Tuesday, August 10, 2010

Mein Aur Mera Gulzar...:)


Mera interior design ka kaam hai. Maine apne dost ke kehne par ek bengali ko kaam pe rakha. Uska naam Gulzaar tha. Uski bhasha samajhne ke liye hame kaafi nuksaan uthaana pada.


Uska pehla din tha. Kaam bilkul thanda tha. Bahaar kuch kachre ke wajeh se dukaan mein kaafi makhiya dukaan ke andar aa gayi thi. Mere aas paas bhinbina rahi thi. Itne mein Gulzaar bola,

Gulzar: Bhai FLY kaat ke lau?


Main: Yuk, tumhe kya makhi macharo ko maarne ke liye rakha hai? Jao jaake ke Partition ke liye saari ply kat ke lao.


Gulzar: Bhai wohi to poocha, fly kaat ke lau?



Phir maine usse kaha gaadi mein Glass door ka sample load karo, delivery dene jaana hai. Usne Glass load kardiya aur phir dukaan ke andar aa kar bola,


Gulzar: Bhai, fresh air kam hai.


Main: Abbey tumhe gaadi mein glass load karne ke liye bheja tha, ke baag mein ghumne ke liye. Chal gaadi mein baith.

Gaadi mein baithte hi laga, ke gaadi ka balance thoda teda hai. Maine machine se tyre ki hawa check ki aur kaha,

Main: Lagta hai pressure kam hai.


Gulzar: Bhai main bhi to wohi to bola, fressure kam hai.



Aap ko pata hai aaj kal kitni traffic hai. Gaadi signal pe khadi thi, saamne pura traffic jam tha, Gulzar bola,

Gulzaar: bhai left jaoge, to gaadi faast jayega.

Maine gaadi left ghuma li aur do ghanto ke liye traffic mein phas gaya. Maine gulzar ki taraf dekha aur gusse se kaha


Main: Tumhare kehne par maine gaadi left li. Dekho phas gayana!


Gulzar: Bhai wohi to bola, gaadi left mein loge to faas jayega!



Phir 2 ghante mein traffic se raahat mili aur mein customer ke paas pohocha. Socha gulzar ka pehla din hai to usko glass haath mein nahi de sakta. Glass kaafi bada tha. Glass haath mein lene par aage kuch bhi dikhai nahi de raha tha. To maine gulzar se kaha aage dekho aur dhyaan rakho ke glass kahi nahi lag jaye. To us par Gulzaar bola


Gulzar: Bhai glass durr hai!


Toh maine socha ok, thoda chalke phir poochunga, Ek kadam rakhne par hi mera sheesha saamne waale sheeshe se takraaya aur dono glass toot gaye. Main gurra ke bola,


Main: Gulzar tumhe kaha tha na, aage dhyaan rakhna, to phir kyu nahi bataaya ke aage Glass Door hai?


Gulzar: Bhai wohi to bola, aage glass dooor hai!!!

5 comments:

  1. Kaay baat hain.. finally ur also on blog.. abhi toh.. sabhi writers and poets ki toh khair nahi :P
    Lage raho sir ji.. nice one...

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. hey welcome to blogging ... :) ..try tto make some entries in english as well as u knwo how good my hindi is...

    ReplyDelete
  4. Hi vinu, good to see u here..sure i have written few english stuffs..just getting a hang of this place ;)

    ReplyDelete